chaak-e-dil bhi kabhi silte honge | चाक-ए-दिल भी कभी सिलते होंगे

  - Ada Jafarey

chaak-e-dil bhi kabhi silte honge
log bichhde hue milte honge

roz-o-shab ke unhi veeraanon mein
khwaab ke phool to khilte honge

naaz-parwar vo tabassum se kahi
silsile dard ke milte honge

ham bhi khushboo hain saba se kahiyo
ham-nafs roz na milte honge

subh zindaan mein bhi hoti hogi
phool maqtal mein bhi khilte honge

ajnabi shehar ki galiyon mein ada
dil kahaan log hi milte honge

चाक-ए-दिल भी कभी सिलते होंगे
लोग बिछड़े हुए मिलते होंगे

रोज़-ओ-शब के उन्ही वीरानों में
ख़्वाब के फूल तो खिलते होंगे

नाज़-परवर वो तबस्सुम से कहीं
सिलसिले दर्द के मिलते होंगे

हम भी ख़ुशबू हैं सबा से कहियो
हम-नफ़स रोज़ न मिलते होंगे

सुब्ह ज़िंदाँ में भी होती होगी
फूल मक़्तल में भी खिलते होंगे

अजनबी शहर की गलियों में 'अदा'
दिल कहाँ लोग ही मिलते होंगे

  - Ada Jafarey

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari