bahut der se mere pandaal mein hai | बहुत देर से मेरे पंडाल में है - Prashant Kumar

bahut der se mere pandaal mein hai
pakadna tujhe aaj har haal mein hai

kabhi tum meri aankhen bhi padh ke dekho
bahut kuchh likha inke ahvaal mein hai

sahi waqt aata nahin hai kabhi bhi
shuruaat kar de tu jis haal mein hai

ameer aadmi hai vo saare jahaan ka
magar uski ginti to kangal mein hai

tujhe dhoondhta hoon main saare jahaan mein
tu baithi hui dil ke pandaal mein hai

rihaa kar de le le magar chaai paani
mera dil tire husn ke jaal mein hai

बहुत देर से मेरे पंडाल में है
पकड़ना तुझे आज हर हाल में है

कभी तुम मिरी आँखें भी पढ़ के देखो
बहुत कुछ लिखा इनके अहवाल में है

सही वक़्त आता नहीं है कभी भी
शुरूआत कर दे तू जिस हाल में है

अमीर आदमी है वो सारे जहाँ का
मगर उसकी गिनती तो कंगाल में है

तुझे ढूँढ़ता हूँ मैं सारे जहाँ में
तू बैठी हुई दिल के पंडाल में है

रिहा कर दे ले ले मगर चाय पानी
मिरा दिल तिरे हुस्न के जाल में है

- Prashant Kumar
1 Like

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari