pehle to be-qaraar karte hain
phir nazar se shikaar karte hain
main unhen bhaav hi nahin deta
vo mujhe phir bhi pyaar karte hain
thak gaya hoon zamaanati bankar
jurm ik baar-baar karte hain
dil jigar jaan husn dhan-daulat
mujh pe sab kuchh nisaar karte hain
main mohabbat kii baat karta hoon
vo maheenon vichaar karte hain
aaine ko dikhaate aaina
ab yahi kaarobaar karte hain
पहले तो बे-क़रार करते हैं
फिर नज़र से शिकार करते हैं
मैं उन्हें भाव ही नहीं देता
वो मुझे फिर भी प्यार करते हैं
थक गया हूँ ज़मानती बनकर
जुर्म इक बार-बार करते हैं
दिल जिगर जान हुस्न धन-दौलत
मुझ पे सब कुछ निसार करते हैं
मैं मोहब्बत की बात करता हूँ
वो महीनों विचार करते हैं
आइने को दिखाते आईना
अब यही कारोबार करते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari