dil khush-gawaar bhi hai tira be-qaraar bhi
kuchh kuchh to lag raha hai hamein ustuvaar bhi
hardam unhin ke rahte ho ghar mein ghuse hue
oopar se ban rahe ho bade naak-daar bhi
karta hoon do shikaar main to ek teer se
fan geetkaar bhi hai mera husn-kaar bhi
tumne nahin kaha tha jahaan chhod de abhi
oopar se kar rahe ho mera intizaar bhi
tum log kah rahe ho bhala aadmi use
mujhko nazar se lag raha hai aib-daar bhi
mujh par hi meri jaan ka ilzaam dhar diya
oopar se bolte ho mujhe gham-gusaar bhi
hardam namak lagana ghareebon ke zakhm par
ye tera kaam-kaaj hai aur rozgaar bhi
दिल ख़ुश-गवार भी है तिरा बे-क़रार भी
कुछ कुछ तो लग रहा है हमें उस्तुवार भी
हरदम उन्हीं के रहते हो घर में घुसे हुए
ऊपर से बन रहे हो बड़े नाक-दार भी
करता हूँ दो शिकार मैं तो एक तीर से
फ़न गीतकार भी है मिरा हुस्न-कार भी
तुमने नहीं कहा था जहाँ छोड़ दे अभी
ऊपर से कर रहे हो मिरा इंतिज़ार भी
तुम लोग कह रहे हो भला आदमी उसे
मुझको नज़र से लग रहा है 'ऐब-दार भी
मुझ पर ही मेरी जान का इल्ज़ाम धर दिया
ऊपर से बोलते हो मुझे ग़म-गुसार भी
हरदम नमक लगाना ग़रीबों के ज़ख़्म पर
ये तेरा काम-काज है और रोज़गार भी
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari