haan maante hain sach hi bataata hai aaina
phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina
guzare qareeb se to haqeeqat pata chali
daayaan hamesha baayaan dikhaata hai aaina
jab raat khud pe guzri to hamko yaqeen hua
rote hue ko aur rulaata hai aaina
gham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho
har waqt hanste rahna sikhaata hai aaina
vaise ye khaas baat to har aaine mein hai
rooge tum to ashk bahaata hai aaina
हाँ मानते हैं सच ही बताता है आइना
फिर भी बहुत से राज़ छुपाता है आइना
गुज़रे क़रीब से तो हक़ीक़त पता चली
दायाँ हमेशा बायाँ दिखाता है आइना
जब रात ख़ुद पे गुज़री तो हमको यक़ीं हुआ
रोते हुए को और रुलाता है आइना
ग़म ज़िंदगी के हों या मोहब्बत का दर्द हो
हर वक़्त हँसते रहना सिखाता है आइना
वैसे ये ख़ास बात तो हर आइने में है
रोओगे तुम तो अश्क बहाता है आइना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Gham Shayari Shayari