phaile hue hain shehar mein saaye nidhaal se | फैले हुए हैं शहर में साए निढाल से - Adil Mansuri

phaile hue hain shehar mein saaye nidhaal se
jaayen kahaan nikal ke khayaalon ke jaal se

mashriq se mera raasta maghrib ki samt tha
us ka safar junoob ki jaanib shumaal se

kaisa bhi talkh zikr ho kaisi bhi tursh baat
un ki samajh mein aayegi gul ki misaal se

chup-chaap baithe rahte hain kuch bolte nahin
bacche bigad gaye hain bahut dekh-bhaal se

rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par
kirnon ke vaar rokiye sheeshe ki dhaal se

aankhon mein aansuon ka kahi naam tak nahin
ab joote saaf kijie un ke rumal se

chehra bujha bujha sa pareshaan zulf zulf
allah dushmanon ko bachaaye vabaal se

phir paaniyon mein nuqraai saaye utar gaye
phir raat jagmaga uthi chaandi ke thaal se

फैले हुए हैं शहर में साए निढाल से
जाएँ कहाँ निकल के ख़यालों के जाल से

मशरिक़ से मेरा रास्ता मग़रिब की सम्त था
उस का सफ़र जुनूब की जानिब शुमाल से

कैसा भी तल्ख़ ज़िक्र हो कैसी भी तुर्श बात
उन की समझ में आएगी गुल की मिसाल से

चुप-चाप बैठे रहते हैं कुछ बोलते नहीं
बच्चे बिगड़ गए हैं बहुत देख-भाल से

रंगों को बहते देखिए कमरे के फ़र्श पर
किरनों के वार रोकिए शीशे की ढाल से

आँखों में आँसुओं का कहीं नाम तक नहीं
अब जूते साफ़ कीजिए उन के रुमाल से

चेहरा बुझा बुझा सा परेशान ज़ुल्फ़ ज़ुल्फ़
अल्लाह दुश्मनों को बचाए वबाल से

फिर पानियों में नुक़रई साए उतर गए
फिर रात जगमगा उठी चाँदी के थाल से

- Adil Mansuri
1 Like

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari