ab tootne hi waala hai tanhaai ka hisaar | अब टूटने ही वाला है तन्हाई का हिसार

  - Adil Mansuri

ab tootne hi waala hai tanhaai ka hisaar
ik shakhs cheekhta hai samundar ke aar-paar

aankhon se raah nikli hai tahtush-shuur tak
rag rag mein rengta hai sulagta hua khumaar

girte rahe nujoom andhere ki zulf se
shab bhar raheen khamoshiyaan saayo se ham-kinaar

deewar-o-dar pe khushboo ke haale bikhar gaye
tanhaai ke farishton ne choomi qaba-e-yaar

kab tak pade rahoge hawaon ke haath mein
kab tak chalega khokhle shabdon ka kaarobaar

अब टूटने ही वाला है तन्हाई का हिसार
इक शख़्स चीख़ता है समुंदर के आर-पार

आँखों से राह निकली है तहतुश-शुऊर तक
रग रग में रेंगता है सुलगता हुआ ख़ुमार

गिरते रहे नुजूम अँधेरे की ज़ुल्फ़ से
शब भर रहीं ख़मोशियाँ सायों से हम-कनार

दीवार-ओ-दर पे ख़ुशबू के हाले बिखर गए
तन्हाई के फ़रिश्तों ने चूमी क़बा-ए-यार

कब तक पड़े रहोगे हवाओं के हाथ में
कब तक चलेगा खोखले शब्दों का कारोबार

  - Adil Mansuri

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari