ek qatra ashk ka chhalaka to dariya kar diya | एक क़तरा अश्क का छलका तो दरिया कर दिया

  - Adil Mansuri

ek qatra ashk ka chhalaka to dariya kar diya
ek musht-e-khaak jo bikhri to sehra kar diya

mere toote hausale ke par nikalte dekh kar
us ne deewaron ko apni aur ooncha kar diya

waardaat-e-qalb likkhi ham ne farzi naam se
aur haathon-haath us ko khud hi le ja kar diya

us ki naaraazi ka suraj jab sawaa neze pe tha
apne harf-e-izz hi ne sar pe saaya kar diya

duniya bhar ki khaak koi chaanta firta hai ab
aap ne dar se utha kar kaisa rusva kar diya

ab na koi khauf dil mein aur na aankhon mein umeed
tu ne marg-e-na-gahaan beemaar achha kar diya

bhool ja ye kal tire naqsh-e-qadam the chaand par
dekh un haathon ko kis ne aaj qaasa kar diya

ham to kehne ja rahe the hamza-e-ye wassalaam
beech mein us ne achaanak noon-ghunna kar diya

ham ko gaali ke liye bhi lab hila sakte nahin
gair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya

teergi ki bhi koi had hoti hai aakhir miyaan
surkh parcham ko jala kar hi ujaala kar diya

bazm mein ahl-e-sukhan taqteea farmaate rahe
aur ham ne apne dil ka bojh halka kar diya

jaane kis ke muntazir baithe hain jhaadoo fer kar
dil se har khwaahish ko aadil ham ne chalta kar diya

एक क़तरा अश्क का छलका तो दरिया कर दिया
एक मुश्त-ए-ख़ाक जो बिखरी तो सहरा कर दिया

मेरे टूटे हौसले के पर निकलते देख कर
उस ने दीवारों को अपनी और ऊँचा कर दिया

वारदात-ए-क़ल्ब लिक्खी हम ने फ़र्ज़ी नाम से
और हाथों-हाथ उस को ख़ुद ही ले जा कर दिया

उस की नाराज़ी का सूरज जब सवा नेज़े पे था
अपने हर्फ़-ए-इज्ज़ ही ने सर पे साया कर दिया

दुनिया भर की ख़ाक कोई छानता फिरता है अब
आप ने दर से उठा कर कैसा रुस्वा कर दिया

अब न कोई ख़ौफ़ दिल में और न आँखों में उमीद
तू ने मर्ग-ए-ना-गहाँ बीमार अच्छा कर दिया

भूल जा ये कल तिरे नक़्श-ए-क़दम थे चाँद पर
देख उन हाथों को किस ने आज कासा कर दिया

हम तो कहने जा रहे थे हम्ज़ा-ए-ये वस्सलाम
बीच में उस ने अचानक नून-ग़ुन्ना कर दिया

हम को गाली के लिए भी लब हिला सकते नहीं
ग़ैर को बोसा दिया तो मुँह से दिखला कर दिया

तीरगी की भी कोई हद होती है आख़िर मियाँ
सुर्ख़ परचम को जला कर ही उजाला कर दिया

बज़्म में अहल-ए-सुख़न तक़्तीअ' फ़रमाते रहे
और हम ने अपने दिल का बोझ हल्का कर दिया

जाने किस के मुंतज़िर बैठे हैं झाड़ू फेर कर
दिल से हर ख़्वाहिश को 'आदिल' हम ने चलता कर दिया

  - Adil Mansuri

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Adil Mansuri

As you were reading Shayari by Adil Mansuri

Similar Writers

our suggestion based on Adil Mansuri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari