jab apnon se door paraaye des mein rahna padta hai | जब अपनों से दूर पराए देस में रहना पड़ता है

  - Afzaal Firdaus

jab apnon se door paraaye des mein rahna padta hai
saan-gumaan na hon jis ka vo dukh bhi sahna padta hai

khud ko maarna padta hai is aate daal ke chakkar mein
do kaudi ke aadmi ko bhi sahab kehna padta hai

banjar hoti jaati ho jab pal pal yaadon ki waadi
dariya ban kar apni hi aankhon se bahna padta hai

mehroomi ki chadar odhe tanhaa qaaidi ki maanind
khaalam-khaali deewaron ke andar rahna padta hai

baatein karne padti hain deewaar pe baithe kawwe se
is chidiya se saare din ka qissa kehna padta hai

जब अपनों से दूर पराए देस में रहना पड़ता है
सान-गुमान न हों जिस का वो दुख भी सहना पड़ता है

ख़ुद को मारना पड़ता है इस आटे दाल के चक्कर में
दो कौड़ी के आदमी को भी साहब कहना पड़ता है

बंजर होती जाती हो जब पल पल यादों की वादी
दरिया बन कर अपनी ही आँखों से बहना पड़ता है

महरूमी की चादर ओढ़े तन्हा क़ैदी की मानिंद
ख़ालम-ख़ाली दीवारों के अंदर रहना पड़ता है

बातें करनी पड़ती हैं दीवार पे बैठे कव्वे से
इस चिड़िया से सारे दिन का क़िस्सा कहना पड़ता है

  - Afzaal Firdaus

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzaal Firdaus

As you were reading Shayari by Afzaal Firdaus

Similar Writers

our suggestion based on Afzaal Firdaus

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari