deewaron mein dar hota to achha tha
apna koi ghar hota to achha tha
us ka rangeen aanchal odh ke so jaate
aur aisa akshar hota to achha tha
rang aa jaate mutthi mein jugnoo ban kar
khushboo ka paikar hota to achha tha
baadal parbat jharne ped parinde chup
vo bhi saath agar hota to achha tha
kyun aawaara firte sooni galiyon mein
koi agar ghar par hota to achha tha
दीवारों में दर होता तो अच्छा था
अपना कोई घर होता तो अच्छा था
उस का रंगीं आँचल ओढ़ के सो जाते
और ऐसा अक्सर होता तो अच्छा था
रंग आ जाते मुट्ठी में जुगनू बन कर
ख़ुशबू का पैकर होता तो अच्छा था
बादल पर्बत झरने पेड़ परिंदे चुप
वो भी साथ अगर होता तो अच्छा था
क्यूँ आवारा फिरते सूनी गलियों में
कोई अगर घर पर होता तो अच्छा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzaal Firdaus
our suggestion based on Afzaal Firdaus
As you were reading Gulshan Shayari Shayari