kal apne shehar ki bas mein sawaar hote hue | कल अपने शहर की बस में सवार होते हुए

  - Afzal Khan

kal apne shehar ki bas mein sawaar hote hue
vo dekhta tha mujhe ashk-baar hote hue

parinde aaye to gumbad pe baith jaayenge
nahin shajar ki zaroorat mazaar hote hue

hai ek aur bhi soorat raza-o-kufr ke beech
ki shak bhi dil mein rahe e'tibaar hote hue

mere vujood se dhaaga nikal gaya hai dost
main be-shumaar hua hoon shumaar hote hue

dubo raha hai mujhe doobne ka khauf ab tak
bhanwar ke beech hoon dariya ke paar hote hue

vo qaid-khaana ghaneemat tha mujh se be-ghar ko
ye zehan hi mein na aaya firaar hote hue

कल अपने शहर की बस में सवार होते हुए
वो देखता था मुझे अश्क-बार होते हुए

परिंदे आए तो गुम्बद पे बैठ जाएँगे
नहीं शजर की ज़रूरत मज़ार होते हुए

है एक और भी सूरत रज़ा-ओ-कुफ़्र के बीच
कि शक भी दिल में रहे ए'तिबार होते हुए

मिरे वजूद से धागा निकल गया है दोस्त
मैं बे-शुमार हुआ हूँ शुमार होते हुए

डुबो रहा है मुझे डूबने का ख़ौफ़ अब तक
भँवर के बीच हूँ दरिया के पार होते हुए

वो क़ैद-ख़ाना ग़नीमत था मुझ से बे-घर को
ये ज़ेहन ही में न आया फ़रार होते हुए

  - Afzal Khan

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Khan

As you were reading Shayari by Afzal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Khan

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari