vo jo ik shakhs wahan hai vo yahan kaise ho | वो जो इक शख़्स वहाँ है वो यहाँ कैसे हो

  - Afzal Khan

vo jo ik shakhs wahan hai vo yahan kaise ho
hijr par vasl ki haalat ka gumaan kaise ho

be-numoo khwaab mein paivast jaden hain meri
ek gamle mein koi nakhl jawaan kaise ho

tum to alfaaz ke nashtar se bhi mar jaate the
ab jo haalaat hain ai ahl-e-zabaan kaise ho

aankh ke pehle kinaare pe khada aakhiri ashk
ranj ke rahm-o-karam par hai ravaan kaise ho

bhaav-taav mein kami beshee nahin ho sakti
haan magar tujh se khareedaar ko naan kaise ho

milte rahte hain mujhe aaj bhi ghalib ke khutoot
wahi andaaz-e-takhaatub ki miyaan kaise ho

वो जो इक शख़्स वहाँ है वो यहाँ कैसे हो
हिज्र पर वस्ल की हालत का गुमाँ कैसे हो

बे-नुमू ख़्वाब में पैवस्त जड़ें हैं मेरी
एक गमले में कोई नख़्ल जवाँ कैसे हो

तुम तो अल्फ़ाज़ के नश्तर से भी मर जाते थे
अब जो हालात हैं ऐ अहल-ए-ज़बाँ कैसे हो

आँख के पहले किनारे पे खड़ा आख़िरी अश्क
रंज के रहम-ओ-करम पर है रवाँ कैसे हो

भाव-ताव में कमी बेशी नहीं हो सकती
हाँ मगर तुझ से ख़रीदार को नाँ कैसे हो

मिलते रहते हैं मुझे आज भी 'ग़ालिब' के ख़ुतूत
वही अंदाज़-ए-तख़ातुब कि मियाँ कैसे हो

  - Afzal Khan

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Khan

As you were reading Shayari by Afzal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Khan

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari