jaan baaki kahaan deewane mein | जान बाकी कहाँ दीवाने में

  - Afzal Sultanpuri

jaan baaki kahaan deewane mein
teer lag hi gaya nishaane mein

maut to hosh mein nahin lagti
kya karein yaar ham zamaane mein

vo juda kar gaya mujhe khud se
waqt lagta nahin bhulaane mein

shayari kaam aa gai mere
lag gaye ham ghazal sunaane mein

chahta tha use magar afzal
dar raha tha gale lagaane mein

karbala naam hi shahaadat hai
sar kata tha khuda manaane mein

kaash rishta bacha liya hota
mar gaya main yahin nibhaane mein

जान बाकी कहाँ दीवाने में
तीर लग ही गया निशाने में

मौत तो होश में नहीं लगती
क्या करें यार हम ज़माने में

वो जुदा कर गया मुझे ख़ुद से
वक़्त लगता नहीं भुलाने में

शायरी काम आ गई मेरे
लग गए हम ग़ज़ल सुनाने में

चाहता था उसे मगर अफ़ज़ल
डर रहा था गले लगाने में

करबला नाम ही शहादत है
सर कटा था ख़ुदा मनाने में

काश रिश्ता बचा लिया होता
मर गया मैं यहीं निभाने में

  - Afzal Sultanpuri

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Sultanpuri

As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Sultanpuri

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari