soo-e-may-kadaa na jaate to kuchh aur baat hoti | सू-ए-मय-कदा न जाते तो कुछ और बात होती

  - Agha Hashr Kashmiri

soo-e-may-kadaa na jaate to kuchh aur baat hoti
vo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hoti

go hawaa-e-gulsitaan ne mere dil ki laaj rakh li
vo naqaab khud uthaate to kuchh aur baat hoti

ye baja kali ne khil kar kiya gulsitaan moattar
agar aap muskuraate to kuchh aur baat hoti

ye khule khule se gesu inhen laakh tu sanwaare
mere haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti

go haram ke raaste se vo pahunch gaye khuda tak
tiri raahguzaar se jaate to kuchh aur baat hoti

सू-ए-मय-कदा न जाते तो कुछ और बात होती
वो निगाह से पिलाते तो कुछ और बात होती

गो हवा-ए-गुलसिताँ ने मिरे दिल की लाज रख ली
वो नक़ाब ख़ुद उठाते तो कुछ और बात होती

ये बजा कली ने खिल कर किया गुलसिताँ मोअत्तर
अगर आप मुस्कुराते तो कुछ और बात होती

ये खुले खुले से गेसू इन्हें लाख तू सँवारे
मिरे हाथ से सँवरते तो कुछ और बात होती

गो हरम के रास्ते से वो पहुँच गए ख़ुदा तक
तिरी रहगुज़र से जाते तो कुछ और बात होती

  - Agha Hashr Kashmiri

Sharm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hashr Kashmiri

As you were reading Shayari by Agha Hashr Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hashr Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Sharm Shayari Shayari