ab na sehra hai na dariya baaki | अब न सहरा है न दरिया बाक़ी - Ahmad Azeem

ab na sehra hai na dariya baaki
rah gai chashm-e-tamaasha baaki

in hawaon ne na chhodaa ab ke
shaakh par ek bhi patta baaki

chin gaya zo'm-e-gul-afshaani-e-lab
rah gaya hont pe nauha baaki

laut jaane ke liye dasht-e-umeed
ab raha koi na rasta baaki

अब न सहरा है न दरिया बाक़ी
रह गई चश्म-ए-तमाशा बाक़ी

इन हवाओं ने न छोड़ा अब के
शाख़ पर एक भी पत्ता बाक़ी

छिन गया ज़ो'म-ए-गुल-अफ़्शानी-ए-लब
रह गया होंट पे नौहा बाक़ी

लौट जाने के लिए दश्त-ए-उमीद
अब रहा कोई न रस्ता बाक़ी

- Ahmad Azeem
1 Like

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azeem

As you were reading Shayari by Ahmad Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azeem

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari