ugaa veeraaniyon ka ik shajar aahista aahista | उगा वीरानियों का इक शजर आहिस्ता आहिस्ता - Ahmad Azeem

ugaa veeraaniyon ka ik shajar aahista aahista
shikasta ho gaye deewar-o-dar aahista aahista

kahaan jaata hai ye sail-e-ravaan-e-umr-e-gum-gashta
bahe jaate hain roz-o-shab kidhar aahista aahista

mere dil ke kharaabe ko kabhi aabaad kar aise
meri jaan ke biyaabaan se guzar aahista aahista

hue hum dono khaakistar dhuaan utha na aanch aayi
hui kyunkar zamaane ko khabar aahista aahista

उगा वीरानियों का इक शजर आहिस्ता आहिस्ता
शिकस्ता हो गए दीवार-ओ-दर आहिस्ता आहिस्ता

कहाँ जाता है ये सैल-ए-रवान-ए-उम्र-ए-गुम-गश्ता
बहे जाते हैं रोज़-ओ-शब किधर आहिस्ता आहिस्ता

मिरे दिल के ख़राबे को कभी आबाद कर ऐसे
मिरी जाँ के बयाबाँ से गुज़र आहिस्ता आहिस्ता

हुए हम दोनों ख़ाकिस्तर धुआँ उट्ठा न आँच आई
हुई क्यूँकर ज़माने को ख़बर आहिस्ता आहिस्ता

- Ahmad Azeem
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Azeem

As you were reading Shayari by Ahmad Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Azeem

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari