bahta aansu ek jhalak mein kitne roop dikhaayega | बहता आँसू एक झलक में कितने रूप दिखाएगा

  - Ahmad Mushtaq

bahta aansu ek jhalak mein kitne roop dikhaayega
aankh se ho kar gaal bhigo kar mitti mein mil jaayega

bhoolne waale waqt ke aivaanon mein kaun theharta hai
beeti shaam ke darwaaze par kis ko bulane aayega

aankh-micholi khel raha hai ik badli se ik taara
phir badli ki yoorish hogi phir taara chhup jaayega

andhiyaare ke ghor-nagar mein ek kiran aabaad hui
kis ko khabar hai pehla jhonka kitne phool khilaayega

phir ik lamha aan ruka hai waqt ke soone sehra mein
pal bhar apni chhab dikhla kar lamhon mein mil jaayega

बहता आँसू एक झलक में कितने रूप दिखाएगा
आँख से हो कर गाल भिगो कर मिट्टी में मिल जाएगा

भूलने वाले! वक़्त के ऐवानों में कौन ठहरता है
बीती शाम के दरवाज़े पर किस को बुलाने आएगा

आँख-मिचोली खेल रहा है इक बदली से इक तारा
फिर बदली की यूरिश होगी फिर तारा छुप जाएगा

अँधियारे के घोर-नगर में एक किरन आबाद हुई
किस को ख़बर है पहला झोंका कितने फूल खिलाएगा

फिर इक लम्हा आन रुका है वक़्त के सूने सहरा में
पल भर अपनी छब दिखला कर लम्हों में मिल जाएगा

  - Ahmad Mushtaq

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari