zamaana ho gaya hai khwaab dekhe
lahu mein dard ka shab-taab dekhe
manaazir ko bahut muddat hui hai
nigaahon mein naya ik baab dekhe
sitaara shaam ko jab aankh khole
achaanak chaand ko paayaab dekhe
vo chingaari si de qurbat ki mujh ko
to phir suraj ki aab-o-taab dekhe
kai raatein hui khidki mein ghar ki
taalluq ka naya mahtaab dekhe
main lafzon ki nayi faslen ugaau'n
vo sannaaton ke taaza khwaab dekhe
meri aankhon mein saawan rang bhar de
mujhe ai kaash vo sairaab dekhe
na vo aawaargi ka shauq ahmad
na koi dasht ko betaab dekhe
ज़माना हो गया है ख़्वाब देखे
लहू में दर्द का शब-ताब देखे
मनाज़िर को बहुत मुद्दत हुई है
निगाहों में नया इक बाब देखे
सितारा शाम को जब आँख खोले
अचानक चाँद को पायाब देखे
वो चिंगारी सी दे क़ुर्बत की मुझ को
तो फिर सूरज की आब-ओ-ताब देखे
कई रातें हुईं खिड़की में घर की
तअल्लुक़ का नया महताब देखे
मैं लफ़्ज़ों की नई फ़सलें उगाऊँ
वो सन्नाटों के ताज़ा ख़्वाब देखे
मेरी आँखों में सावन रंग भर दे
मुझे ऐ काश वो सैराब देखे
न वो आवारगी का शौक़ 'अहमद'
न कोई दश्त को बेताब देखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Shanas
our suggestion based on Ahmad Shanas
As you were reading Diversity Shayari Shayari