abhi hamaara hai aayega par tumhaara bhi | अभी हमारा है आएगा पर तुम्हारा भी

  - Faiz Ahmad

abhi hamaara hai aayega par tumhaara bhi
uthaana hoga tumko ishq mein khasaara bhi

guroor karte ho apna jise banaake tum
vo shaks tha zamaane mein kabhi hamaara bhi

bahaav ae ishq se kaise na bach nikalti vo
mera jo pyaar tha saahil ka tha piyaara bhi

ab unke bin guzaari jaarahi hai ye bad-zeest
ke jinke bin hamein ik pal na tha gawara bhi

jahaan bhi dekha usko muskuraa diye har waqt
phir usko yaad karke zakhm ko ubhaara bhi

nazar bhi fair lete hain vo dekhkar mujhko
kabhi yoon tha mai jinka jaan se piyaara bhi

mere zawaal ke mansoobe sochte hain vo
jo de rahein hain baahar se mujhe sahaara bhi

qareeb aake pehle dil dhadak uthaya mera
phir usne door jaake mujhse mujhko maara bhi

is ishq ke nashe ne meri rooh ko ahmad
munaafe ke barabar hi diya khasaara bhi

अभी हमारा है आएगा पर तुम्हारा भी
उठाना होगा तुमको इश्क़ में खसारा भी

गुरूर करते हो अपना जिसे बनाके तुम
वो शक्स था ज़माने में कभी हमारा भी

बहाव ए इश्क से कैसे न बच निकलती वो
मिरा जो प्यार था साहिल का था पियारा भी

अब उनके बिन गुज़ारी जारही है ये बद-ज़ीस्त
के जिनके बिन हमें इक पल न था गवारा भी

जहां भी देखा उसको मुस्कुरा दिए हर वक़्त
फिर उसको याद करके ज़ख्म को उभारा भी

नज़र भी फैर लेते हैं वो देखकर मुझको
कभी यूं था मै जिनका जान से पियारा भी

मिरे ज़वाल के मनसूबे सोचते हैं वो
जो दे रहें हैं बाहर से मुझे सहारा भी

करीब आके पहले दिल धड़क उठाया मिरा
फिर उसने दूर जाके मुझसे मुझको मारा भी

इस इश्क़ के नशे ने मेरी रूह को अहमद
मुनाफे के बराबर ही दिया खसारा भी

  - Faiz Ahmad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari