dil-e-ghareeb ko to shayari pasand nahin
mere naseeb ko to shayari pasand nahin
main kis tarah se kahoon apne dil ki baat bhala
mere habeeb ko to shayari pasand nahin
tumhaari kaise banegi bhala rakeeb ke saath
mere rakeeb ko to shayari pasand nahin
hai koi mujhko dava de sukhun ke badle mein
mere tabeeb ko to shayari pasand nahin
mujhe batao koi aur tour-e-istighfaar
us al-mujeeb ko to shayari pasand nahin
hame pasand na karti to sabr aa jaata
par us ajeeb ko to shayari pasand nahin
tumhaara husn wajah hai jo karta hoon varna
mujhe muheeb ko to shayari pasand nahin
ai maula kaise karenge ye hak ada apna
tire khateeb ko to shayari pasand nahin
दिल-ए-ग़रीब को तो शायरी पसंद नहीं
मिरे नसीब को तो शायरी पसंद नहीं
मैं किस तरह से कहूंँ अपने दिल की बात भला
मिरे हबीब को तो शायरी पसंद नहीं
तुम्हारी कैसे बनेगी भला रकी़ब के साथ
मिरे रकी़ब को तो शायरी पसंद नहीं
है कोई मुझको दवा दे सुख़न के बदले में
मिरे तबीब को तो शायरी पसंद नहीं
मुझे बताओ कोई और तौर-ए-इस्तग़फार
उस अल-मुजीब को तो शायरी पसंद नहीं
हमे पसंद न करती तो सब्र आ जाता
पर उस अजीब को तो शायरी पसंद नहीं
तुम्हारा हुस्न वजह है जो करता हूंँ वरना
मुझे मुहीब को तो शायरी पसंद नहीं
ऐ मौला कैसे करेंगे ये हक अदा अपना
तिरे ख़तीब को तो शायरी पसंद नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Baaten Shayari Shayari