jo lagoo judne agar bhi to kahaan jodte hain
vo mujhe jodte hain jod ke phir todate hain
kar ke dil par ye ghaneemat ke dhadkane lage bas
is tariqe se vo har cheez ko yun jodte hain
unke haathon ki karaamat hai jo joda gaya hoon
vo to patthar ko bhi phoolon ki tarah todate hain
haan ye mumkin tha ke tujh ko main bhula deta magar
zaalima zakham bhare bhi to nishaan chhodate hain
जो लगूँ जुड़ने अगर भी तो कहाँ जोड़ते हैं
वो मुझे जोड़ते हैं जोड़ के फिर तोड़ते हैं
कर के दिल पर ये ग़नीमत के धड़कने लगे बस
इस तरीक़े से वो हर चीज़ को यूँ जोड़ते हैं
उनके हाथों की करामत है जो जोड़ा गया हूँ
वो तो पत्थर को भी फूलों की तरह तोड़ते हैं
हाँ ये मुम्किन था के तुझ को मैं भुला देता मगर
ज़ालिमा ज़ख़्म भरे भी तो निशाँ छोड़ते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Phool Shayari Shayari