chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana
jis tarah aankh uthe mahv-e-ada ho jaana
kisi maashooq ka aashiq se khafa ho jaana
rooh ka jism se goya hai juda ho jaana
maut hi aap ke beemaar ki qismat mein na thi
warna kab zahar ka mumkin tha dava ho jaana
apne pahluu mein tujhe dekh ke hairat hai mujhe
khark-e-aadat hai tira vaada wafa ho jaana
waqa'at-e-ishq kahaan jab ye talavvun ho wahan
kabhi raazi kabhi aashiq se khafa ho jaana
jab mulaqaat hui tum se to takraar hui
aise milne se to behtar hai juda ho jaana
chhed kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho
baithe baithe unhen aata hai khafa ho jaana
mujh se phir jaaye jo duniya to bala se phir jaaye
tu na ai aah zamaane ki hawa ho jaana
ahsan achha hai rahe maal-e-arab pesh-e-arab
de ke dil tum na giraftaar-e-bala ho jaana
चाहिए इश्क़ में इस तरह फ़ना हो जाना
जिस तरह आँख उठे महव-ए-अदा हो जाना
किसी माशूक़ का आशिक़ से ख़फ़ा हो जाना
रूह का जिस्म से गोया है जुदा हो जाना
मौत ही आप के बीमार की क़िस्मत में न थी
वर्ना कब ज़हर का मुमकिन था दवा हो जाना
अपने पहलू में तुझे देख के हैरत है मुझे
ख़र्क़-ए-आदत है तिरा वादा वफ़ा हो जाना
वक़अ'त-ए-इश्क़ कहाँ जब ये तलव्वुन हो वहाँ
कभी राज़ी कभी आशिक़ से ख़फ़ा हो जाना
जब मुलाक़ात हुई तुम से तो तकरार हुई
ऐसे मिलने से तो बेहतर है जुदा हो जाना
छेड़ कुछ हो कि न हो बात हुई हो कि न हो
बैठे बैठे उन्हें आता है ख़फ़ा हो जाना
मुझ से फिर जाए जो दुनिया तो बला से फिर जाए
तू न ऐ आह ज़माने की हवा हो जाना
'अहसन' अच्छा है रहे माल-ए-अरब पेश-ए-अरब
दे के दिल तुम न गिरफ़्तार-ए-बला हो जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Wada Shayari Shayari