ik nazar mein dard kho dena dil-e-beemaar ka | इक नज़र में दर्द खो देना दिल-ए-बीमार का - Ahsan Marahravi

ik nazar mein dard kho dena dil-e-beemaar ka
ye to adnaa sa karishma hai nigah-e-yaar ka

gair mumkin hai ki ho paamaal koi hashr mein
ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftaar ka

hazrat-e-aadam se ta een dam hue sab ishq dost
hai azal se daur daura husn ki sarkaar ka

ham jo mar kar jee uthe is par ta'ajjub kya ki hai
vo karaamat chaal ki ye mojza guftaar ka

aap ke ghamze uthaaun gair ke taane sunoon
banda parvar main ne chhodaa ishq bhi sarkaar ka

aabloon ko sar uthaane ki zara mohlat nahin
hai karam sehra-navardi mein ye nok-e-khaar ka

is se badh kar aap ahsan chahte hain aur kya
doston ki daad hai goya sila ashaar ka

इक नज़र में दर्द खो देना दिल-ए-बीमार का
ये तो अदना सा करिश्मा है निगाह-ए-यार का

ग़ैर मुमकिन है कि हो पामाल कोई हश्र में
हो न जब तक कुछ इशारा आप की रफ़्तार का

हज़रत-ए-आदम से ता ईं दम हुए सब इश्क़ दोस्त
है अज़ल से दौर दौरा हुस्न की सरकार का

हम जो मर कर जी उठे इस पर तअज्जुब क्या कि है
वो करामत चाल की ये मोजज़ा गुफ़्तार का

आप के ग़म्ज़े उठाऊँ ग़ैर के ताने सुनूँ
बंदा परवर मैं ने छोड़ा इश्क़ भी सरकार का

आबलों को सर उठाने की ज़रा मोहलत नहीं
है करम सहरा-नवर्दी में ये नोक-ए-ख़ार का

इस से बढ़ कर आप 'अहसन' चाहते हैं और क्या
दोस्तों की दाद है गोया सिला अशआर का

- Ahsan Marahravi
1 Like

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Marahravi

As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Marahravi

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari