saaqi-o-waaiz mein zid hai baada-kash chakkar mein hai
tu b-lab pur aur lab dooba hua saaghar mein hai
rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai
kuchh nahin bigda hai ab tak ghar ki daulat ghar mein hai
dab gaya tha mere marne se jo ai mahshar-khiraam
kya wahi khwaabida-fitna soorat-e-mahshar mein hai
jis ko tu chahe jila de jis ko chahe maar de
vo bhi teri baat mein ye bhi tiri thokar mein hai
dil ke mit jaane se josh-e-ishq ghat saka hai kya
dil se kya matlab ki ye sauda to mere sar mein hai
maanta hai aastaan ko tere ka'ba aur kaun
ye hamaara hi nishaan-e-sajda sang-e-dar mein hai
ahsan'-e-aawaara-qismat ki na poocho gardishein
apne ghar baitha hua taqdeer ke chakkar mein hai
साक़ी-ओ-वाइ'ज़ में ज़िद है बादा-कश चक्कर में है
तू ब-लब पुर और लब डूबा हुआ साग़र में है
रोक ले ऐ ज़ब्त जो आँसू कि चश्म-ए-तर में है
कुछ नहीं बिगड़ा है अब तक घर की दौलत घर में है
दब गया था मेरे मरने से जो ऐ महशर-ख़िराम
क्या वही ख़्वाबीदा-फ़ित्ना सूरत-ए-महशर में है
जिस को तू चाहे जिला दे जिस को चाहे मार दे
वो भी तेरी बात में ये भी तिरी ठोकर में है
दिल के मिट जाने से जोश-ए-इश्क़ घट सकता है क्या
दिल से क्या मतलब कि ये सौदा तो मेरे सर में है
मानता है आस्ताँ को तेरे का'बा और कौन
ये हमारा ही निशान-ए-सज्दा संग-ए-दर में है
'अहसन'-ए-आवारा-क़िस्मत की न पूछो गर्दिशें
अपने घर बैठा हुआ तक़दीर के चक्कर में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Lab Shayari Shayari