sang-e-dar ban kar bhi kya hasrat mere dil mein nahin
tere qadmon mein hoon lekin teri mehfil mein nahin
raah-e-ulfat ka nishaan ye hai ki vo hai be-nishaan
jaada kaisa naqsh-e-paa tak koi manzil mein nahin
kho chuke ro ro ke ghar baahar ki saari kaayenaat
ashk kaise aankh mein ab khoon bhi dil mein nahin
bazm-aaraai se pehle dekh o naadaan dekh
kaun hai mehfil mein teri kaun mehfil mein nahin
poochta hai aarzoo ahsan ki tu kya baar baar
tere milne ke siva koi havas dil mein nahin
संग-ए-दर बन कर भी क्या हसरत मिरे दिल में नहीं
तेरे क़दमों में हूँ लेकिन तेरी महफ़िल में नहीं
राह-ए-उल्फ़त का निशाँ ये है कि वो है बे-निशाँ
जादा कैसा नक़्श-ए-पा तक कोई मंज़िल में नहीं
खो चुके रो रो के घर बाहर की सारी काएनात
अश्क कैसे आँख में अब ख़ून भी दिल में नहीं
बज़्म-आराई से पहले देख ओ नादान देख
कौन है महफ़िल में तेरी कौन महफ़िल में नहीं
पूछता है आरज़ू 'अहसन' की तू क्या बार बार
तेरे मिलने के सिवा कोई हवस दिल में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Mehman Shayari Shayari