kashish-e-husn ki ye anjuman-aaraai hai
saari duniya tire kooche mein simat aayi hai
dard ne khoye hue dil ki jagah paai hai
ik bala sar se gai ek bala aayi hai
jaan nisaaron ko sahaara jo na jeene ka mila
koo-e-qaatil mein qaza kheench ke le aayi hai
main chhupata hoon gham-e-ishq to banta nahin kaam
aur kehta hoon to goya meri ruswaai hai
jigar o dil mein taraazu na ho kyun naavak-e-naaz
is ko dono se barabar ki shanaasaai hai
dil ye kehta hai wahan ja ke sambhal jaaunga
main ye kehta hoon ki bad-bakht ki maut aayi hai
ban ke naaseh vo ye kahte hain mohabbat na karo
mujh ko marne nahin dete ye masihaai hai
sab jise daag-e-dil o zakham-e-jigar kahte hain
vo mere naakhun-e-gham ki chaman-aaraai hai
kya hai duniya mein numood aur numaish ke siva
zindagi ham ko tamaashe ke liye laai hai
ishq ruswa-kun-e-aalam vo hai ahsan jis se
nek-naamon ki bhi bad-naami o ruswaai hai
कशिश-ए-हुस्न की ये अंजुमन-आराई है
सारी दुनिया तिरे कूचे में सिमट आई है
दर्द ने खोए हुए दिल की जगह पाई है
इक बला सर से गई एक बला आई है
जाँ निसारों को सहारा जो न जीने का मिला
कू-ए-क़ातिल में क़ज़ा खींच के ले आई है
मैं छुपाता हूँ ग़म-ए-इश्क़ तो बनता नहीं काम
और कहता हूँ तो गोया मिरी रुस्वाई है
जिगर ओ दिल में तराज़ू न हो क्यूँ नावक-ए-नाज़
इस को दोनों से बराबर की शनासाई है
दिल ये कहता है वहाँ जा के सँभल जाऊँगा
मैं ये कहता हूँ कि बद-बख़्त की मौत आई है
बन के नासेह वो ये कहते हैं मोहब्बत न करो
मुझ को मरने नहीं देते ये मसीहाई है
सब जिसे दाग़-ए-दिल ओ ज़ख़्म-ए-जिगर कहते हैं
वो मिरे नाख़ुन-ए-ग़म की चमन-आराई है
क्या है दुनिया में नुमूद और नुमाइश के सिवा
ज़िंदगी हम को तमाशे के लिए लाई है
इश्क़ रुस्वा-कुन-ए-आलम वो है 'अहसन' जिस से
नेक-नामों की भी बद-नामी ओ रुस्वाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari