ai dil na sun afsaana kisi shokh haseen ka | ऐ दिल न सुन अफ़्साना किसी शोख़ हसीं का

  - Ahsan Marahravi

ai dil na sun afsaana kisi shokh haseen ka
na-aaqibat-andesha rahega na kahi ka

duniya ka raha hai dil-e-naakaam na deen ka
is ishq-e-bad-anjaam ne rakha na kahi ka

hain taak mein ik shokh ki duz-deeda nigaahen
allah nigahbaan hai ab jaan-e-hazeen ka

haalat dil-e-betaab ki dekhi nahin jaati
behtar hai ki ho jaaye ye paivand zameen ka

go qadr wahan khaak bhi hoti nahin meri
har waqt tasavvur hai magar dil mein wahin ka

har aashiq-e-jaan-baaz ko dar ai sitam-aara
talwaar se badh kar hai tiri cheen-e-jabeen ka

kuchh sakhti-e-duniya ka mujhe gham nahin ahsan
khatka hai magar dil ko dam-e-baaz-paseen ka

ऐ दिल न सुन अफ़्साना किसी शोख़ हसीं का
ना-आक़िबत-अँदेश रहेगा न कहीं का

दुनिया का रहा है दिल-ए-नाकाम न दीं का
इस इश्क़-ए-बद-अंजाम ने रक्खा न कहीं का

हैं ताक में इक शोख़ की दुज़-दीदा निगाहें
अल्लाह निगहबान है अब जान-ए-हज़ीं का

हालत दिल-ए-बेताब की देखी नहीं जाती
बेहतर है कि हो जाए ये पैवंद ज़मीं का

गो क़द्र वहाँ ख़ाक भी होती नहीं मेरी
हर वक़्त तसव्वुर है मगर दिल में वहीं का

हर आशिक़-ए-जाँ-बाज़ को डर ऐ सितम-आरा
तलवार से बढ़ कर है तिरी चीन-ए-जबीं का

कुछ सख़्ती-ए-दुनिया का मुझे ग़म नहीं 'अहसन'
खटका है मगर दिल को दम-ए-बाज़-पसीं का

  - Ahsan Marahravi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Marahravi

As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Marahravi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari