mutmain apne yaqeen par agar insaan ho jaaye | मुतमइन अपने यक़ीं पर अगर इंसाँ हो जाए - Ahsan Marahravi

mutmain apne yaqeen par agar insaan ho jaaye
sau hijaabo mein jo pinhaan hai numayaan ho jaaye

is tarah qurb tira aur bhi aasaan ho jaaye
mera ek ek nafs kaash rag-e-jaan ho jaaye

vo kabhi sehan-e-chaman mein jo khiraamaan ho jaaye
guncha baalida ho itna ki gulistaan ho jaaye

ishq ka koi nateeja to ho achha ki bura
zeest mushkil hai to marna mera aasaan ho jaaye

jaan le naaz agar martaba-e-izz-o-niyaaz
husn sau jaan se khud ishq ka khwaahan ho jaaye

mere hi dam se hai aabaad junoon-khaana-e-ishq
main na hoon qaid to barbaadi-e-zindaan ho jaaye

hai tire husn ka nazzara vo hairat-afzaa
dekh le chashm-e-tasavvur bhi to hairaan ho jaaye

deed ho baat na ho aankh mile dil na mile
ek din koi to poora mera armaan ho jaaye

main agar ashk-e-nidaamat ke jawaahir bhar luun
tosha-e-hashr mera gosha-e-daamaan ho jaaye

le ke dil tark-e-jafaa par nahin raazi to mujhe
hai ye manzoor ki vo jaan ka khwaahan ho jaaye

apni mehfil mein bitha lo na suno kuchh na kaho
kam se kam ek din ahsan pe ye ehsaan ho jaaye

मुतमइन अपने यक़ीं पर अगर इंसाँ हो जाए
सौ हिजाबों में जो पिन्हाँ है नुमायाँ हो जाए

इस तरह क़ुर्ब तिरा और भी आसाँ हो जाए
मेरा एक एक नफ़स काश रग-ए-जाँ हो जाए

वो कभी सेहन-ए-चमन में जो ख़िरामाँ हो जाए
ग़ुंचा बालीदा हो इतना कि गुलिस्ताँ हो जाए

इश्क़ का कोई नतीजा तो हो अच्छा कि बुरा
ज़ीस्त मुश्किल है तो मरना मिरा आसाँ हो जाए

जान ले नाज़ अगर मर्तबा-ए-इज्ज़-ओ-नियाज़
हुस्न सौ जान से ख़ुद इश्क़ का ख़्वाहाँ हो जाए

मेरे ही दम से है आबाद जुनूँ-ख़ाना-ए-इश्क़
मैं न हूँ क़ैद तो बर्बादी-ए-ज़िंदाँ हो जाए

है तिरे हुस्न का नज़्ज़ारा वो हैरत-अफ़ज़ा
देख ले चश्म-ए-तसव्वुर भी तो हैराँ हो जाए

दीद हो बात न हो आँख मिले दिल न मिले
एक दिन कोई तो पूरा मिरा अरमाँ हो जाए

मैं अगर अश्क-ए-निदामत के जवाहिर भर लूँ
तोशा-ए-हश्र मिरा गोशा-ए-दामाँ हो जाए

ले के दिल तर्क-ए-जफ़ा पर नहीं राज़ी तो मुझे
है ये मंज़ूर कि वो जान का ख़्वाहाँ हो जाए

अपनी महफ़िल में बिठा लो न सुनो कुछ न कहो
कम से कम एक दिन 'अहसन' पे ये एहसाँ हो जाए

- Ahsan Marahravi
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Marahravi

As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Marahravi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari