yahan baghair-fughaan shab basar nahin hoti | यहाँ बग़ैर-फ़ुग़ाँ शब बसर नहीं होती

  - Ahsan Marahravi

yahan baghair-fughaan shab basar nahin hoti
wahan asar nahin hota khabar nahin hoti

khalish jigar mein hai dil ko khabar nahin hoti
chubhi hai faas idhar se udhar nahin hoti

abas hi kal ke liye iltiwaa-e-maskh-e-khiraam
qayamat aaj hi kyun fitna-gar nahin hoti

jo un se door hai us ke liye hain chashm-b-raah
ham un ke paas hain ham par nazar nahin hoti

ajal ko rokiye kya kah ke un ke aane tak
ki ab to baat bhi ai chaara-gar nahin hoti

vo aa gaye hain to aansu zaroor ponchhenge
ab aankh kyun meri ashkon se tar nahin hoti

kamaal-e-be-hunri se ghani hoon main ahsan
mujhe zaroorat-e-arz-e-hunar nahin hoti

यहाँ बग़ैर-फ़ुग़ाँ शब बसर नहीं होती
वहाँ असर नहीं होता ख़बर नहीं होती

ख़लिश जिगर में है दिल को ख़बर नहीं होती
चुभी है फाँस इधर से उधर नहीं होती

अबस ही कल के लिए इल्तिवा-ए-मश्क़-ए-ख़िराम
क़यामत आज ही क्यूँ फ़ित्ना-गर नहीं होती

जो उन से दूर है उस के लिए हैं चश्म-ब-राह
हम उन के पास हैं हम पर नज़र नहीं होती

अजल को रोकिए क्या कह के उन के आने तक
कि अब तो बात भी ऐ चारा-गर नहीं होती

वो आ गए हैं तो आँसू ज़रूर पोंछेंगे
अब आँख क्यूँ मिरी अश्कों से तर नहीं होती

कमाल-ए-बे-हुनरी से ग़नी हूँ मैं 'अहसन'
मुझे ज़रूरत-ए-अर्ज़-ए-हुनर नहीं होती

  - Ahsan Marahravi

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Marahravi

As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Marahravi

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari