sheeshe sheeshe ko paivast-e-jaan mat karo | शीशे शीशे को पैवस्त-ए-जाँ मत करो

  - Ahsan Yusuf Zai

sheeshe sheeshe ko paivast-e-jaan mat karo
chand tinkon ko itna garaan mat karo

raushni jis jagah jhaankti bhi nahin
us andhere ko tum aasmaan mat karo

ek kamre mein rahna hai sab ko yahan
geelay patte jala kar dhuaan mat karo

dushmani to hawaon mein maujood hai
koi zahmat paye dostaan mat karo

kya pata kis ke daaman tale aag hai
sab ke chehron pe apna gumaan mat karo

शीशे शीशे को पैवस्त-ए-जाँ मत करो
चंद तिनकों को इतना गराँ मत करो

रौशनी जिस जगह झाँकती भी नहीं
उस अँधेरे को तुम आसमाँ मत करो

एक कमरे में रहना है सब को यहाँ
गीले पत्ते जला कर धुआँ मत करो

दुश्मनी तो हवाओं में मौजूद है
कोई ज़हमत पए दोस्ताँ मत करो

क्या पता किस के दामन तले आग है
सब के चेहरों पे अपना गुमाँ मत करो

  - Ahsan Yusuf Zai

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Yusuf Zai

As you were reading Shayari by Ahsan Yusuf Zai

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Yusuf Zai

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari