ye ban-sanwar ke meri saadgi mein laut aaye | ये बन-सँवर के मिरी सादगी में लौट आए

  - Aisha Ayyub

ye ban-sanwar ke meri saadgi mein laut aaye
mere khayal meri shaay'ri mein laut aaye

use kaho ki meri zaat ab bhi baaki hai
diya bujha de meri raushni mein laut aaye

vo jis tarah se parinde shajar pe lautte hain
ham apne aap se nikle tujhi mein laut aaye

jo main hansoon to mera ashk ban ke vo chalke
kisi tarah se vo meri hasi mein laut aaye

khushi mili bhi to ham ko kabhi na raas aayi
udaasiyon ke sabab is khushi mein laut aaye

fislati ret sa haathon se gir gaya tha jo
vo guzra waqt kabhi phir ghadi mein laut aaye

hamein to ek hi chehre ka kaam hota hai
hata ke bheed ko ham phir usi mein laut aaye

bade ghuroor se nikle the alvida'a kah kar
bas ek baar pukaara gali mein laut aaye

ये बन-सँवर के मिरी सादगी में लौट आए
मिरे ख़याल मिरी शाइ'री में लौट आए

उसे कहो कि मिरी ज़ात अब भी बाक़ी है
दिया बुझा दे मिरी रौशनी में लौट आए

वो जिस तरह से परिंदे शजर पे लौटते हैं
हम अपने आप से निकले तुझी में लौट आए

जो मैं हँसूँ तो मिरा अश्क बन के वो छलके
किसी तरह से वो मेरी हँसी में लौट आए

ख़ुशी मिली भी तो हम को कभी न रास आई
उदासियों के सबब इस ख़ुशी में लौट आए

फिसलती रेत सा हाथों से गिर गया था जो
वो गुज़रा वक़्त कभी फिर घड़ी में लौट आए

हमें तो एक ही चेहरे का काम होता है
हटा के भीड़ को हम फिर उसी में लौट आए

बड़े ग़ुरूर से निकले थे अलविदा'अ कह कर
बस एक बार पुकारा गली में लौट आए

  - Aisha Ayyub

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aisha Ayyub

As you were reading Shayari by Aisha Ayyub

Similar Writers

our suggestion based on Aisha Ayyub

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari