dushwaar hai is anjuman-aara ko samajhna
tanhaa na kabhi tum dil-e-tanha ko samajhna
ho jaaye to ho jaaye izafa gham-e-dil mein
kya aql se sauda-e-tamanna ko samajhna
ik lamha-e-hairat ke siva kuchh bhi nahin hai
kuchh aur na is tundi-e-dariya ko samajhna
kuchh tez hawaon ne bhi dushwaar kiya hai
qadmon ke nishaanaat se sehra ko samajhna
दुश्वार है इस अंजुमन-आरा को समझना
तन्हा न कभी तुम दिल-ए-तन्हा को समझना
हो जाए तो हो जाए इज़ाफ़ा ग़म-ए-दिल में
क्या अक़्ल से सौदा-ए-तमन्ना को समझना
इक लम्हा-ए-हैरत के सिवा कुछ भी नहीं है
कुछ और न इस तुंदी-ए-दरिया को समझना
कुछ तेज़ हवाओं ने भी दुश्वार किया है
क़दमों के निशानात से सहरा को समझना
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading undefined Shayari