wahi be-baaki-e-ushshaq hai darkaar ab bhi | वही बे-बाकी-ए-उश्शाक़ है दरकार अब भी

  - Ajmal Siraj

wahi be-baaki-e-ushshaq hai darkaar ab bhi
hai wahi silsila-e-aatish-o-gulzaar ab bhi

ab bhi maujood hai vo baiat-e-faasiq ka sawaal
aur matlab hai vo jurat-e-inkaar ab bhi

hain kahaan ishq mein ghar-baar lutaane waale
khoo-e-eisaar se maghloob hain ansaar ab bhi

koi yusuf to zamaana kare paida ajmal
nazar aa sakti hai vo garmi-e-baazaar ab bhi

वही बे-बाकी-ए-उश्शाक़ है दरकार अब भी
है वही सिलसिला-ए-आतिश-ओ-गुलज़ार अब भी

अब भी मौजूद है वो बैअत-ए-फ़ासिक़ का सवाल
और मतलूब है वो जुरअत-ए-इंकार अब भी

हैं कहाँ इश्क़ में घर-बार लुटाने वाले
ख़ू-ए-ईसार से मग़लूब हैं अंसार अब भी

कोई यूसुफ़ तो ज़माना करे पैदा 'अजमल'
नज़र आ सकती है वो गर्मी-ए-बाज़ार अब भी

  - Ajmal Siraj

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siraj

As you were reading Shayari by Ajmal Siraj

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siraj

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari