bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar hum par bhi | बहुत रहा है कभी लुत्फ़-ए-यार हम पर भी - Akbar Allahabadi

bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar hum par bhi
guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar hum par bhi

uroos-e-dehr ko aaya tha pyaar hum par bhi
ye beswa thi kisi shab nisaar hum par bhi

bitha chuka hai zamaana humein bhi masnad par
hua kiye hain jawaahir nisaar hum par bhi

adoo ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz
to fakhr kya jo hua e'tibaar hum par bhi

khata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zabaan
to ho hi jaate hain do ek vaar hum par bhi

hum aise rind magar ye zamaana hai vo gazab
ki daal hi diya duniya ka baar hum par bhi

humein bhi aatish-e-ulfat jala chuki akbar
haraam ho gai dozakh ki naar hum par bhi

बहुत रहा है कभी लुत्फ़-ए-यार हम पर भी
गुज़र चुकी है ये फ़स्ल-ए-बहार हम पर भी

उरूस-ए-दहर को आया था प्यार हम पर भी
ये बेसवा थी किसी शब निसार हम पर भी

बिठा चुका है ज़माना हमें भी मसनद पर
हुआ किए हैं जवाहिर निसार हम पर भी

अदू को भी जो बनाया है तुम ने महरम-ए-राज़
तो फ़ख़्र क्या जो हुआ ए'तिबार हम पर भी

ख़ता किसी की हो लेकिन खुली जो उन की ज़बाँ
तो हो ही जाते हैं दो एक वार हम पर भी

हम ऐसे रिंद मगर ये ज़माना है वो ग़ज़ब
कि डाल ही दिया दुनिया का बार हम पर भी

हमें भी आतिश-ए-उल्फ़त जला चुकी 'अकबर'
हराम हो गई दोज़ख़ की नार हम पर भी

- Akbar Allahabadi
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari