haya se sar jhuka lena ada se muskuraa dena
haseenon ko bhi kitna sahal hai bijli gira dena
ye tarz ehsaan karne ka tumheen ko zeb deta hai
marz mein mubtala kar ke mareezon ko dava dena
balaaen lete hain un ki ham un par jaan dete hain
ye sauda deed ke qaabil hai kya lena hai kya dena
khuda ki yaad mein mahviyat-e-dil baadshaahi hai
magar aasaan nahin hai saari duniya ko bhula dena
हया से सर झुका लेना अदा से मुस्कुरा देना
हसीनों को भी कितना सहल है बिजली गिरा देना
ये तर्ज़ एहसान करने का तुम्हीं को ज़ेब देता है
मरज़ में मुब्तला कर के मरीज़ों को दवा देना
बलाएँ लेते हैं उन की हम उन पर जान देते हैं
ये सौदा दीद के क़ाबिल है क्या लेना है क्या देना
ख़ुदा की याद में महवियत-ए-दिल बादशाही है
मगर आसाँ नहीं है सारी दुनिया को भुला देना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi
our suggestion based on Akbar Allahabadi
As you were reading Khuda Shayari Shayari