kisi se ladaayein nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni furqat kahaan | किसी से लड़ाएँ नज़र और झेलें मोहब्बत के ग़म इतनी फ़ुर्सत कहाँ

  - Akhtar Ansari

kisi se ladaayein nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni furqat kahaan
uthaaye kisi maah-paikar haseena ke jaur-o-sitam itni furqat kahaan

zamaane ki be-rehmiyon ke tasadduq dimaagh-e-nashaat-o-alam hi nahin
dil apna kare aarzoo-e-jafaa ya umeed-e-karam itni furqat kahaan

dubo den may-e-naab ki mastiyon mein falaakat ke nakbat ke ehsaas ko
bana len kisi aamyaana se kooze hi ko jaam-e-jam itni furqat kahaan

hon azaad-e-afkaar lekin tafakkur mein doobe hue se rahein raat din
tabeeyat ki be-wajh afsurdagi ke maze looten ham itni furqat kahaan

na maazi hamaara na mustaqbil apna kuchh is taur se harf-e-imrooz hain
gham-e-dosh ya fikr-e-fardaa mein akhtar karein sar ko kham itni furqat kahaan

किसी से लड़ाएँ नज़र और झेलें मोहब्बत के ग़म इतनी फ़ुर्सत कहाँ
उठाएँ किसी माह-पैकर हसीना के जौर-ओ-सितम इतनी फ़ुर्सत कहाँ

ज़माने की बे-रहमियों के तसद्दुक़ दिमाग़-ए-नशात-ओ-अलम ही नहीं
दिल अपना करे आरज़ू-ए-जफ़ा या उमीद-ए-करम इतनी फ़ुर्सत कहाँ

डुबो दें मय-ए-नाब की मस्तियों में फ़लाकत के नक्बत के एहसास को
बना लें किसी आमियाना से कूज़े ही को जाम-ए-जम इतनी फ़ुर्सत कहाँ

हों आज़ाद-ए-अफ़्कार लेकिन तफ़क्कुर में डूबे हुए से रहें रात दिन
तबीअत की बे-वज्ह अफ़्सुर्दगी के मज़े लूटें हम इतनी फ़ुर्सत कहाँ

न माज़ी हमारा न मुस्तक़बिल अपना कुछ इस तौर से हर्फ़-ए-इमरोज़ हैं
ग़म-ए-दोश या फ़िक्र-ए-फ़र्दा में 'अख़्तर' करें सर को ख़म इतनी फ़ुर्सत कहाँ

  - Akhtar Ansari

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari