umr-bhar ki talkh bedaari ka saamaan ho gaeein | उम्र-भर की तल्ख़ बेदारी का सामाँ हो गईं

  - Akhtar Shirani

umr-bhar ki talkh bedaari ka saamaan ho gaeein
haaye vo raatein ki jo khwaab-e-pareshaan ho gaeein

main fida us chaand se chehre pe jis ke noor se
mere khwaabon ki fazaayein yoosufistaan ho gaeein

umr-bhar kam-bakht ko phir neend aa sakti nahin
jis ki aankhon par tiri zulfen pareshaan ho gaeein

dil ke pardo mein theen jo jo hasratein parda-nasheen
aaj vo aankhon mein aansu ban ke uryaan ho gaeein

kuchh tujhe bhi hai khabar o sone waale naaz se
meri raatein loot gaeein neenden pareshaan ho gaeein

haaye vo maayusiyon mein meri ummeedon ka rang
jo sitaaron ki tarah uth uth ke pinhaan ho gaeein

bas karo o meri rone waali aankhon bas karo
ab to apne zulm par vo bhi pashemaan ho gaeein

aah vo din jo na aaye phir guzar jaane ke ba'ad
haaye vo raatein ki jo khwaab-e-pareshaan ho gaeein

gulshan-e-dil mein kahaan akhtar vo rang-e-nau-bahaar
aarzooen chand kaliyaan theen pareshaan ho gaeein

उम्र-भर की तल्ख़ बेदारी का सामाँ हो गईं
हाए वो रातें कि जो ख़्वाब-ए-परेशाँ हो गईं

मैं फ़िदा उस चाँद से चेहरे पे जिस के नूर से
मेरे ख़्वाबों की फ़ज़ाएँ यूसुफ़िस्ताँ हो गईं

उम्र-भर कम-बख़्त को फिर नींद आ सकती नहीं
जिस की आँखों पर तिरी ज़ुल्फ़ें परेशाँ हो गईं

दिल के पर्दों में थीं जो जो हसरतें पर्दा-नशीं
आज वो आँखों में आँसू बन के उर्यां हो गईं

कुछ तुझे भी है ख़बर ओ सोने वाले नाज़ से
मेरी रातें लुट गईं नींदें परेशाँ हो गईं

हाए वो मायूसियों में मेरी उम्मीदों का रंग
जो सितारों की तरह उठ उठ के पिन्हाँ हो गईं

बस करो ओ मेरी रोने वाली आँखों बस करो
अब तो अपने ज़ुल्म पर वो भी पशेमाँ हो गईं

आह वो दिन जो न आए फिर गुज़र जाने के बा'द
हाए वो रातें कि जो ख़्वाब-ए-परेशाँ हो गईं

गुलशन-ए-दिल में कहाँ 'अख़्तर' वो रंग-ए-नौ-बहार
आरज़ूएँ चंद कलियाँ थीं परेशाँ हो गईं

  - Akhtar Shirani

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari