rag-e-jaan mein utar kar bolta hai
haqeeqat jab sukhanvar bolta hai
kisi se kab vo dar kar bolta hai
zabaan-e-haq qalander bolta hai
ata hoti hai jis ko chashm-e-beena
to qatre mein samundar bolta hai
nahin heera chamakta be-taraashe
tarash jaaye to patthar bolta hai
vo jhoota hai jo be-tahqeeq baatein
kisi se sun ke akshar bolta hai
wahi hai mo'tabar aansu jo akhtar
sar-e-mizgaan thehar kar bolta hai
रग-ए-जाँ में उतर कर बोलता है
हक़ीक़त जब सुख़नवर बोलता है
किसी से कब वो डर कर बोलता है
ज़बान-ए-हक़ क़लंदर बोलता है
अता होती है जिस को चश्म-ए-बीना
तो क़तरे में समुंदर बोलता है
नहीं हीरा चमकता बे-तराशे
तरश जाए तो पत्थर बोलता है
वो झूटा है जो बे-तहक़ीक़ बातें
किसी से सुन के अक्सर बोलता है
वही है मो'तबर आँसू जो 'अख़्तर'
सर-ए-मिज़्गाँ ठहर कर बोलता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Siddiqui
our suggestion based on Akhtar Siddiqui
As you were reading Sad Shayari Shayari