us daur mein ham hain jahaan achha bura kuchh bhi nahin
maine kaha kuchh to kaho usne kaha kuchh bhi nahin
kuchh gham-zadoon ki aas mein kuchh gham-zade gum ho gaye
main rah gaya ik gham-zada mujhko hua kuchh bhi nahin
tumko bhi ab mujhse koi naarazgi shikwa nahin
kya kuchh hamaare darmiyaan ab hai bacha kuchh bhi nahin
us mod par mil bhi gaeein gar rail ki ye patriyaan
to bach nikalne ka bachega raasta kuchh bhi nahin
har umr par tabdeeliyaan dono ne dekhi thi magar
tasveer hai sab kuchh yahan ab aaina kuchh bhi nahin
उस दौर में हम हैं जहाँ अच्छा बुरा कुछ भी नहीं
मैंने कहा कुछ तो कहो उसने कहा कुछ भी नहीं
कुछ ग़म–ज़दों की आस में कुछ ग़म–ज़दे गुम हो गए
मैं रह गया इक ग़म–ज़दा मुझको हुआ कुछ भी नहीं
तुमको भी अब मुझसे कोई नाराज़गी शिकवा नहीं
क्या कुछ हमारे दरमियाँ अब है बचा कुछ भी नहीं
उस मोड़ पर मिल भी गईं गर रेल की ये पटरियाँ
तो बच निकलने का बचेगा रास्ता कुछ भी नहीं
हर उम्र पर तब्दीलियाँ दोनों ने देखी थी मगर
तस्वीर है सब कुछ यहाँ अब आइना कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Yadav
our suggestion based on Ankit Yadav
As you were reading Budhapa Shayari Shayari