ik subh hai jo hui nahin hai
ik raat hai jo kati nahin hai
maqtoolon ka qahat pad na jaaye
qaateel ki kahi kami nahin hai
veeraanon se aa rahi hai awaaz
takhleeq-e-junoon ruki nahin hai
hai aur hi kaarobaar-e-masti
jee lena to zindagi nahin hai
saaqi se jo jaam le na badh kar
vo tishnagi tishnagi nahin hai
aashiq-kushi o fareb-kaari
ye sheva-e-dilbari nahin hai
bhookhon ki nigaah mein hai bijli
ye barq abhi giri nahin hai
dil mein jo jalai thi kisi ne
vo sham-e-tarab bujhi nahin hai
ik dhoop si hai jo zer-e-mizgaan
vo aankh abhi uthi nahin hai
hain kaam bahut abhi ki duniya
shaista-e-aadmi nahin hai
har rang ke aa chuke hain fir'aun
lekin ye jabeen jhuki nahin hai
इक सुब्ह है जो हुई नहीं है
इक रात है जो कटी नहीं है
मक़्तूलों का क़हत पड़ न जाए
क़ातिल की कहीं कमी नहीं है
वीरानों से आ रही है आवाज़
तख़्लीक़-ए-जुनूँ रुकी नहीं है
है और ही कारोबार-ए-मस्ती
जी लेना तो ज़िंदगी नहीं है
साक़ी से जो जाम ले न बढ़ कर
वो तिश्नगी तिश्नगी नहीं है
आशिक़-कुशी ओ फ़रेब-कारी
ये शेवा-ए-दिलबरी नहीं है
भूखों की निगाह में है बिजली
ये बर्क़ अभी गिरी नहीं है
दिल में जो जलाई थी किसी ने
वो शम-ए-तरब बुझी नहीं है
इक धूप सी है जो ज़ेर-ए-मिज़्गाँ
वो आँख अभी उठी नहीं है
हैं काम बहुत अभी कि दुनिया
शाइस्ता-ए-आदमी नहीं है
हर रंग के आ चुके हैं फ़िरऔन
लेकिन ये जबीं झुकी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Life Shayari Shayari