zulm ki kuchh mii'ad nahin hai
daad nahin fariyaad nahin hai
qatl hue hain ab tak kitne
koo-e-sitam ko yaad nahin hai
aakhir royen kis ko kis ko
kaun hai jo barbaad nahin hai
qaid chaman bhi ban jaata hai
murgh-e-chaman azaad nahin hai
lutf hi kya gar apne muqaabil
satwat-e-barq-o-baad nahin hai
sab hon shaadan sab hon khandaan
tanhaa koi shaad nahin hai
daawat-e-rang-o-nikhat hai ye
khanda-e-gul barbaad nahin hai
ज़ुल्म की कुछ मीआ'द नहीं है
दाद नहीं फ़रियाद नहीं है
क़त्ल हुए हैं अब तक कितने
कू-ए-सितम को याद नहीं है
आख़िर रोएँ किस को किस को
कौन है जो बर्बाद नहीं है
क़ैद चमन भी बन जाता है
मुर्ग़-ए-चमन आज़ाद नहीं है
लुत्फ़ ही क्या गर अपने मुक़ाबिल
सतवत-ए-बर्क़-ओ-बाद नहीं है
सब हों शादाँ सब हों ख़ंदाँ
तन्हा कोई शाद नहीं है
दावत-ए-रंग-ओ-निकहत है ये
ख़ंदा-ए-गुल बर्बाद नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Gunaah Shayari Shayari