haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh | हालत ए हिज्र में हूँ यार मेरी सम्त न देख

  - Ali Zaryoun

haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh
tu na ho jaaye girftaar meri samt na dekh

aasteen mein jo chhupe saanp hain unko to nikaal
apne nuksaan par har baar meri samt na dekh

tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai
aise nashshe mein lagaataar meri samt na dekh

ya koi baat suna ya mujhe seene se laga
is tarah baithkar bekar meri samt na dekh

tera yaaron se nahin jeb se yaaraana hai
ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh

हालत ए हिज्र में हूँ यार मेरी सम्त न देख
तू न हो जाए गिरफ्तार, मेरी सम्त न देख

आस्तीन में जो छूपे सांप हैं उनको तो निकाल
अपने नुकसान पर हर बार मेरी सम्त न देख

तुझको जिस बात का 'ख़द्शा' है वो हो सकती है
ऐसे नश्शे में लगातार मेरी सम्त न देख

या कोई बात सुना या मुझे सीने से लगा
इस तरह बैठकर बेकार मेरी सम्त न देख

तेरा यारों से नहीं जेब से याराना है
ऐ मोहब्बत के दुकाँदार मेरी सम्त न देख

  - Ali Zaryoun

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari