la phir ik baar wahi baada o jaam ai saaqi
haath aa jaaye mujhe mera maqaam ai saaqi
teen sau saal se hain hind ke may-khaane band
ab munaasib hai tira faiz ho aam ai saaqi
meri meena-e-ghazal mein thi zara si baaki
sheikh kehta hai ki hai ye bhi haraam ai saaqi
sher mardon se hua besh-e-tahqeeq tahee
rah gaye sufi o mulla ke ghulaam ai saaqi
ishq ki tegh-e-jigar-daar uda li kis ne
ilm ke haath mein khaali hai niyaam ai saaqi
seena raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayaat
ho na raushan to sukhun marg-e-davaam ai saaqi
tu meri raat ko mahtaab se mahroom na rakh
tire paimaane mein hai maah-e-tamaam ai saaqi
ला फिर इक बार वही बादा ओ जाम ऐ साक़ी
हाथ आ जाए मुझे मेरा मक़ाम ऐ साक़ी
तीन सौ साल से हैं हिन्द के मय-ख़ाने बंद
अब मुनासिब है तिरा फ़ैज़ हो आम ऐ साक़ी
मेरी मीना-ए-ग़ज़ल में थी ज़रा सी बाक़ी
शेख़ कहता है कि है ये भी हराम ऐ साक़ी
शेर मर्दों से हुआ बेश-ए-तहक़ीक़ तही
रह गए सूफ़ी ओ मुल्ला के ग़ुलाम ऐ साक़ी
इश्क़ की तेग़-ए-जिगर-दार उड़ा ली किस ने
इल्म के हाथ में ख़ाली है नियाम ऐ साक़ी
सीना रौशन हो तो है सोज़-ए-सुख़न ऐन-ए-हयात
हो न रौशन तो सुख़न मर्ग-ए-दवाम ऐ साक़ी
तू मिरी रात को महताब से महरूम न रख
तिरे पैमाने में है माह-ए-तमाम ऐ साक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Ishq Shayari Shayari