meri navaa-e-shauq se shor hareem-e-zaat mein
ghulghula-haa-e-al-amaan but-kada-e-sifaat mein
hoor o farishta hain aseer mere takhayyulaat mein
meri nigaah se khalal teri tajalliyaat mein
garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band
meri fugaan se rustakhez kaaba o somnaat mein
gaah meri nigaah-e-tez cheer gai dil-e-vujood
gaah uljh ke rah gai mere tavahhumaat mein
tu ne ye kya gazab kiya mujh ko bhi faash kar diya
main hi to ek raaz tha seena-e-kaayenaat mein
मेरी नवा-ए-शौक़ से शोर हरीम-ए-ज़ात में
ग़ुल्ग़ुला-हा-ए-अल-अमाँ बुत-कदा-ए-सिफ़ात में
हूर ओ फ़रिश्ता हैं असीर मेरे तख़य्युलात में
मेरी निगाह से ख़लल तेरी तजल्लियात में
गरचे है मेरी जुस्तुजू दैर ओ हरम की नक़्शा-बंद
मेरी फ़ुग़ाँ से रुस्तख़ेज़ काबा ओ सोमनात में
गाह मिरी निगाह-ए-तेज़ चीर गई दिल-ए-वजूद
गाह उलझ के रह गई मेरे तवहहुमात में
तू ने ये क्या ग़ज़ब किया मुझ को भी फ़ाश कर दिया
मैं ही तो एक राज़ था सीना-ए-काएनात में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Raaz Shayari Shayari