na aate hamein is mein takraar kya thi | न आते हमें इस में तकरार क्या थी

  - Allama Iqbal

na aate hamein is mein takraar kya thi
magar wa'da karte hue aar kya thi

tumhaare payaami ne sab raaz khola
khata is mein bande ki sarkaar kya thi

bhari bazm mein apne aashiq ko taada
tiri aankh masti mein hushyaar kya thi

taammul to tha un ko aane mein qaasid
magar ye bata tarz-e-inkaar kya thi

khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa
kashish teri ai shauq-e-deedaar. kya thi

kahi zikr rehta hai iqbaal tera
fusoon tha koi teri guftaar kya thi

न आते हमें इस में तकरार क्या थी
मगर वा'दा करते हुए आर क्या थी

तुम्हारे पयामी ने सब राज़ खोला
ख़ता इस में बंदे की सरकार क्या थी

भरी बज़्म में अपने आशिक़ को ताड़ा
तिरी आँख मस्ती में हुश्यार क्या थी

तअम्मुल तो था उन को आने में क़ासिद
मगर ये बता तर्ज़-ए-इंकार क्या थी

खिंचे ख़ुद-बख़ुद जानिब-ए-तूर मूसा
कशिश तेरी ऐ शौक़-ए-दीदार क्या थी

कहीं ज़िक्र रहता है 'इक़बाल' तेरा
फ़ुसूँ था कोई तेरी गुफ़्तार क्या थी

  - Allama Iqbal

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari