pareshaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaaye
jo mushkil ab hai ya rab phir wahi mushkil na ban jaaye
na kar den mujh ko majboor-e-nawan firdaus mein hooren
mera soz-e-daroon phir garmi-e-mehfil na ban jaaye
kabhi chhodi hui manzil bhi yaad aati hai raahi ko
khatk si hai jo seene mein gham-e-manzil na ban jaaye
banaya ishq ne dariya-e-na-paida-karan mujh ko
ye meri khud-nigahdaari mera saahil na ban jaaye
kahi is aalam-e-be-rang-o-boo mein bhi talab meri
wahi afsaana-e-dumbala-e-mehmil na ban jaaye
urooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sahme jaate hain
ki ye toota hua taara mah-e-kaamil na ban jaaye
परेशाँ हो के मेरी ख़ाक आख़िर दिल न बन जाए
जो मुश्किल अब है या रब फिर वही मुश्किल न बन जाए
न कर दें मुझ को मजबूर-ए-नवाँ फ़िरदौस में हूरें
मिरा सोज़-ए-दरूँ फिर गर्मी-ए-महफ़िल न बन जाए
कभी छोड़ी हुई मंज़िल भी याद आती है राही को
खटक सी है जो सीने में ग़म-ए-मंज़िल न बन जाए
बनाया इश्क़ ने दरिया-ए-ना-पैदा-कराँ मुझ को
ये मेरी ख़ुद-निगह-दारी मिरा साहिल न बन जाए
कहीं इस आलम-ए-बे-रंग-ओ-बू में भी तलब मेरी
वही अफ़्साना-ए-दुंबाला-ए-महमिल न बन जाए
उरूज-ए-आदम-ए-ख़ाकी से अंजुम सहमे जाते हैं
कि ये टूटा हुआ तारा मह-ए-कामिल न बन जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Musafir Shayari Shayari