khudi vo bahar hai jis ka koi kinaara nahin
tu aabjoo ise samjha agar to chaara nahin
tilism-e-gumbad-e-gardoon ko tod sakte hain
zujaaj ki ye imarat hai sang-e-khaara nahin
khudi mein doobte hain phir ubhar bhi aate hain
magar ye hausla-e-mard-e-hech-kaara nahin
tire maqaam ko anjum-shanaas kya jaane
ki khaak-e-zinda hai tu taba-e-sitaara nahin
yahin behisht bhi hai hoor o jibrail bhi hai
tiri nigaah mein abhi shokhi-e-nazaara nahin
mere junoon ne zamaane ko khoob pahchaana
vo pairhan mujhe baksha ki paara paara nahin
gazab hai ain-e-karam mein bakheel hai fitrat
ki laal-e-naab mein aatish to hai sharaara nahin
ख़ुदी वो बहर है जिस का कोई किनारा नहीं
तू आबजू इसे समझा अगर तो चारा नहीं
तिलिस्म-ए-गुंबद-ए-गर्दूं को तोड़ सकते हैं
ज़ुजाज की ये इमारत है संग-ए-ख़ारा नहीं
ख़ुदी में डूबते हैं फिर उभर भी आते हैं
मगर ये हौसला-ए-मर्द-ए-हेच-कारा नहीं
तिरे मक़ाम को अंजुम-शनास क्या जाने
कि ख़ाक-ए-ज़ि़ंदा है तू ताबा-ए-सितारा नहीं
यहीं बहिश्त भी है हूर ओ जिबरईल भी है
तिरी निगह में अभी शोख़ी-ए-नज़ारा नहीं
मिरे जुनूँ ने ज़माने को ख़ूब पहचाना
वो पैरहन मुझे बख़्शा कि पारा पारा नहीं
ग़ज़ब है ऐन-ए-करम में बख़ील है फ़ितरत
कि लाल-ए-नाब में आतिश तो है शरारा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Nazar Shayari Shayari