hazaar khauf ho lekin zabaan ho dil ki rafeeq
yahi raha hai azal se qalandaron ka tariq
hujoom kyun hai ziyaada sharaab-khaane mein
faqat ye baat ki peer-e-mugaan hai mard-e-khaleeq
ilaaj-e-zof-e-yaqeen in se ho nahin saka
gareeb agarche hain raazi ke nukta-haaye-daqqeeq
mureed-e-saada to ro ro ke ho gaya taib
khuda kare ki mile shaikh ko bhi ye taufeeq
usi tilism-e-kuhan mein aseer hai aadam
baghal mein us ki hain ab tak butaan-e-ahd-e-ateeq
mere liye to hai iqrar-e-bil-lisaan bhi bahut
hazaar shukr ki mulla hain saahib-e-tasdeeq
agar ho ishq to hai kufr bhi musalmaani
na ho to mard-e-muslamaan bhi kaafir o zindeeq
हज़ार ख़ौफ़ हो लेकिन ज़बाँ हो दिल की रफ़ीक़
यही रहा है अज़ल से क़लंदरों का तरीक़
हुजूम क्यूँ है ज़ियादा शराब-ख़ाने में
फ़क़त ये बात कि पीर-ए-मुग़ाँ है मर्द-ए-ख़लीक़
इलाज-ए-ज़ोफ़-ए-यक़ीं इन से हो नहीं सकता
ग़रीब अगरचे हैं 'राज़ी' के नुक्ता-हाए-दक़ीक़
मुरीद-ए-सादा तो रो रो के हो गया ताइब
ख़ुदा करे कि मिले शैख़ को भी ये तौफ़ीक़
उसी तिलिस्म-ए-कुहन में असीर है आदम
बग़ल में उस की हैं अब तक बुतान-ए-अहद-ए-अतीक़
मिरे लिए तो है इक़रार-ए-बिल-लिसाँ भी बहुत
हज़ार शुक्र कि मुल्ला हैं साहिब-ए-तसदीक़
अगर हो इश्क़ तो है कुफ़्र भी मुसलमानी
न हो तो मर्द-ए-मुसलमाँ भी काफ़िर ओ ज़िंदीक़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Insaan Shayari Shayari