dil soz se khaali hai nigaah paak nahin hai | दिल सोज़ से ख़ाली है निगह पाक नहीं है - Allama Iqbal

dil soz se khaali hai nigaah paak nahin hai
phir is mein ajab kya ki tu bebaak nahin hai

hai zauq-e-tajalli bhi isee khaak mein pinhaan
ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai

vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan
purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai

kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki
un ka sar-e-daaman bhi abhi chaak nahin hai

kab tak rahe mahkoomi-e-anjum mein meri khaak
ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai

bijli hoon nazar koh o biyaabaan pe hai meri
mere liye shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai

aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas
mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai

दिल सोज़ से ख़ाली है निगह पाक नहीं है
फिर इस में अजब क्या कि तू बेबाक नहीं है

है ज़ौक़-ए-तजल्ली भी इसी ख़ाक में पिन्हाँ
ग़ाफ़िल तू निरा साहिब-ए-इदराक नहीं है

वो आँख कि है सुर्मा-ए-अफ़रंग से रौशन
पुरकार ओ सुख़न-साज़ है नमनाक नहीं है

क्या सूफ़ी ओ मुल्ला को ख़बर मेरे जुनूँ की
उन का सर-ए-दामन भी अभी चाक नहीं है

कब तक रहे महकूमी-ए-अंजुम में मिरी ख़ाक
या मैं नहीं या गर्दिश-ए-अफ़्लाक नहीं है

बिजली हूँ नज़र कोह ओ बयाबाँ पे है मेरी
मेरे लिए शायाँ ख़स-ओ-ख़ाशाक नहीं है

आलम है फ़क़त मोमिन-ए-जाँबाज़ की मीरास
मोमिन नहीं जो साहिब-ए-लौलाक नहीं है

- Allama Iqbal
0 Likes

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari