tu abhi raahguzaar mein hai qaid-e-maqaam se guzar
misr o hijaaz se guzar paaras o shaam se guzar
jis ka amal hai be-gharz us ki jazaa kuchh aur hai
hoor o khayaam se guzar baada-o-jaam se guzar
garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahaar
taaerk-e-buland-baam daana-o-daam se guzar
koh-shigaaf teri zarb tujh se kushaad-e-sharq-o-gharb
tegh-e-hilaal ki tarah aish-e-niyaam se guzar
tera imaam be-huzoor teri namaaz be-suroor
aisi namaaz se guzar aise imaam se guzar
तू अभी रहगुज़र में है क़ैद-ए-मक़ाम से गुज़र
मिस्र ओ हिजाज़ से गुज़र पारस ओ शाम से गुज़र
जिस का अमल है बे-ग़रज़ उस की जज़ा कुछ और है
हूर ओ ख़ियाम से गुज़र बादा-ओ-जाम से गुज़र
गरचे है दिल-कुशा बहुत हुस्न-ए-फ़रंग की बहार
ताएरक-ए-बुलंद-बाम दाना-ओ-दाम से गुज़र
कोह-शिगाफ़ तेरी ज़र्ब तुझ से कुशाद-ए-शर्क़-ओ-ग़र्ब
तेग़-ए-हिलाल की तरह ऐश-ए-नियाम से गुज़र
तेरा इमाम बे-हुज़ूर तेरी नमाज़ बे-सुरूर
ऐसी नमाज़ से गुज़र ऐसे इमाम से गुज़र
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Gulshan Shayari Shayari